January 22, 2008

memoirs


Meri jindagi ke kai katron par uski si parchai hein

Subah ke akhbaar mei sheyar market ki khabar
Yaad dilate hei uska enthu. Mujhe khabren sunate hue …

Purane saal ki sale se khareede sweaters
Uski favorite hobby thi shopping, meri shopping.

Dustbin mei pade vo purane deo ki grey cap
Kaise khushbuen chuni thi usne mere liye

Jab ghar talashta hoon akele
To yaad aata hein saare khwaab …
Diwaron ke rang
Furniture ka design
Khushiyan beshkimti jo kho si gayi hein

Aage jaati hui gadi pe pade number ko
French mei padkar sunane wala koi nahi.

tbc