March 27, 2007

dua yeh asar kar jaye

haath chhutne se pehle, tujhe sehar mil jaye
mere tutne se pehle, kash rahgujar mil jaye

itni to ravani to, khamosh hawaon mei
Saans meri tute, aur tujhe khabar mil jaye

be-abru aur karte ho, mujhe meri hi najro mei
Aur yeh khauf, tujhse nazar ne mil jaye

tujko alvida kehkar, dar sab seel karne hein
koi dastak ne de paye, kisi ko basar ne mil jaye

No comments: