April 08, 2007

Marasim

Rishto ko badalte dekha hei – pehchaan se ehsaan. Ehsaan se madad. Madad se Dosti ke rishte mei badalte hue.

Par yeh kaise Marasim hei: Dosti ke rishte se Ehsaan ke rishte mei tabdeel hote hue.

Vo shaks jise meri khushi mei, mere shauk mei shareek hone mei takleef hoti hei. Par agar usko khabar ho ki mujhe jarurat hei uski, to vo hei mere saath – apne ehsaan ke rishte ko nibhane ke liye.

Mujhe laga tha ki yeh rishta dosti ka hei; kabhi parvaah hi nahi ki. Aaj naye maano mei dekhta hoon, to afsoos hota hei, dar lagta hei, bechaini hoti hei: itna ehsaan nahi chahiye.

And the mind wants to go on for a run – a Forrest Gump run. But, would I be able to run away from you or rather myself, for that matter?

Shukriya, jindagi mei aane ke liye
Shukriya, vo surkh sahar dikhane ke liye
Shukirya, mujhko hasane ke liye
Shukriya, yeh alfaaz sikhane ke liye

Mei hi hoon bas kinaare, yun langar thame hue,
Varna betaab hei kashti, mujhe chhodh jaane ke liye

Tera ehsaan mere thame se tham jaate ho
Ek pal aur jeest ke, afsaane ke liye

Tod-ti jaati hei par mujhko, vo ek aur lahar
Aati hei kyon maujen, mira hausla aajmaane ke liye

Mitti na dale koi shaks meri kabr par
Tere ahsaan kafi hei, mujhe dafnaane ke liye

No comments: