mujhe nahi hei vaham ab, meri kimat kya hei
jaam jab chhuta to maine jaana, hakikat kya hei
kitna bekhud tha ki tum-me hi khud ko jaan liya
is bahki mohabbat se, kaho, itne shikayat kya hei
sang hone ke tere nashe mei maine
hira diye the kahin, apne gumo ke sabhe
ab jab tumne bhi hume, hira diya hei kahin
har saans pe samahjte hei, ki turbat kya hei
tumhari roshni mei hum, ji chuke hei jahan
tumhari khushbuon se mehke the mere gali aur makan
tumhari dhadkane nahi thi, vo meri ajaane thi
dua nahi ab, mujhe dhadkano ki jarurat kya hei
tumko kho na de kahin, is dar se darte the kabhi
phir, intjaar mei tere, rah-rahkar marte bhi rahe
aalam yeh hei ki tumko bhoola sake hum ab
aisa ho jaye bas, to phir aur inaayat kya hei
tumko dekh-he the aaj, khali nigahon se hum
na to lab pe koi harkat, na meri aankhon mei shikan
phir mujhe yaad nahi jeete the ya ki mar jaate the
maloom na tha pehle kabhi ki kayamat kya hei
No comments:
Post a Comment