October 10, 2006
Jalti hui shamaa jaise
Kuch kadam to aapke bhi lad-khadaye hein
Kuch nasha safed nazron ne bhi jaana hei
Kuch to guft-gu hei, jinpe khil-khilaye tum
Parde gira diye, aur hue be-libaas tum.
Dil ki khalbali, ab halak tak bhi aati hei
Peshani ki shikan teri, jubaan sunati hei
Likh rahe ho nazm tum ab jindgani ki
Suna raho ho daastaan, saari chupaane ki
Mera to har ek harf, tumse unchu-aa raha
Jubaan par hi tha, phir bhi unkaha raha
Intzaa bahut tha mujhe is aaftaab ka
Tuta hei har ek khawaab, is syaah raat ka
Aaftaab ab yeh, har ek tilism tod de
Roshni piro de, ruho-jism jod de
Ab hosh hei mujhko, vo meri diwangi hi thi
Har rah mere raste ki tujh tak jaati thi
Sochta hoon ab yeh ki, rukh badal gaye kaise?
Ghat raha hei kad tera kyun, jalti hui shamaa jaise.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment