October 31, 2006

QS

:-)) Here begins, the 'Quit Smoking' Movement '06!

Tere vaado, tere khawaboon se sukun milta hei
Fakr hota ka ki, tu us rah par hei
Vah rah, jo manjil ka safar karti hei
Jo khushiyon ki anjuman se, hokar gujarti hei

Lagta hei, kash yeh kalaam chalta rahe
Teri rahon ka har chiraag yuhin jalta rahe

Par phir, ek anjaan si chingari asar karti hei
Saans ukad jaati hei meri, aur nazr jalti hei
Saham jaata hei, meri ruh ka ruan-ruan
Katl karta hei mere khawaboon ka, tere kash ka dhuan

Raham kar, kisi ek vaade ka imaan to rakh
Jindagi ko yun, kaale kafan se na dakh

Yun chingari ki chamak mei, khushi doond-tha hei kahan
Bhuja de chingariyaan, aur roshan kar le jahan

Shab aati hei jab, saaya bhi saath tab nahi hota
Noor ho aap, to khud se badkar koi rab nahi hota

Dua hei, tujko bhi aisa noor mile
Khushi mile, Makaam mile, lajiim guroor mile.

1 comment:

Chitra said...

This is Chitra. There ia song of Norah Jones "I cannot stop my self for calling.. in the morning" THis song is alos talks abt addiction.. funny enough that people use it for smoking addiction too :)